Film - Tere Naam
Music - Himesh Reshammiya
Singer - Alka Yagnik

Tere Naam... Hum Ne Kiya Hai...
Jeevan Apna Saara Sanam...
Ho... Jeevan Apna Saara Sanam
Pyaar Bahut... Karte Hain Tumse...
Ishq Hai Tu Hamaara Sanam...
Ho... Ishq Hai Tu Hamaara Sanam...

Tere Ishq Ne Saathiya
Mera Haal Kya Kar Diya...
Tere Ishq Ne Saathiya
Mera Haal Kya Kar Diya...

Gulshan Bhi Ab To Veerana Lagta Hai
Har Apna Hum Ko Begaana Lagta Hai
Hum Teri Yaadon Mein Khoye Rehte Hain
Log Humein Paagal Deewana Kehte Hain
Tere Bina, Tere Bina...
Tere Bina... Naamumkin Hai...
Zindagi Ka Guzaara Sanam...
Ho... Zindagi Ka Guzara Sanam...

Laagi Chhoote Naa, Laagi Chhoote Naa, Laagi Chhoote Naa...
Ishq Ka Dhaaga Toote Naa...
Laagi Chhoote Naa, Laagi Chhoote Naa, Laagi Chhoote Naa...
Ishq Ka Dhaaga Toote Naa...

Tere Ishq Ne Saathiya
Mera Haal Kya Kar Diya...
Tere Ishq Ne Saathiya
Mera Haal Kya Kar Diya...

Nainon Se Behtey Ashqon Ke Dhaaron Mein
Humne Tujhko Dekha Chand Sitaron Mein
Birha Ki Agni Mein Pal Pal Tapti Hain
Ab To Saansein Teri Mala Japti Hain
Tere Liye, Tere Liye...
Tere Liye... Is Duniya Ka...
Har Sitam Hai Ganwaara Sanam...
Ho, Har Sitam Hai Ganwaara Sanam...

Tere Naam... Hum Ne Kiya Hai...
Jeevan Apna Saara Sanam...
Ho... Jeevan Apna Saara Sanam

Tere Naam... Tere Naam... Tere Naam...



Back To Main Page