Film - Mrityudaata

Apne Baap Ka Kya Jaata Hai

Kahin Bandh Kahin Chakka Jaam
Kar Gaya Koi Kaam Tamaam
Chaurahe Pe Jal Gayi Bus
Do Ko Maarke Bhaage Dus
Beech Sadak Pe Naare Baazi
Pandit Se Takraya Kaazi
Dharm Aur Mazhab Ke Naam Pe
Koi Danga Karvata Hai
Apne Baap Ka Kya Jaata Hai

Bachcha Chhota Bag Bada Hai
Kamar Jhuki Hai Phir Bhi Khada Hai
Isko Registration Ne Maara
Usko Donation Ne Maara
Aaj Ke Daur Mein Aage Badna
Hai Bada Mushkil Ab Padna
Jiske Paas Nahin Hai Paisa
Woh Kahan Ab Padh Paata Hai
Apne Baap Ka Kya Jaata Hai

Gunde Ka Bhai Inspector
Inspector Ka Jeeja Lawyer
Lawyer Ka Neta Hai Saala
Alag Hai Chaabi Par Ik Taala
Phirti Hai Bas Maari Maari
Jaye Kahan Janta Bechaari
Upar Se Leke Neeche Tak
Har Koi Ab Ghus Khaata Hai
Apne Baap Ka Kya Jaata Hai

Achha Kaam Jo Karne Jaao
Morche Waalon Se Takrao
Baap Na Hoga Maa Na Hogi
Sapnon Ki Duniya Na Hogi
Kaale Mukhde Ho Jayenge
Desh Ke Tukde Ho Jayenge
Tab Bhi Tu Kya Yeh Gaayega
Saath Mere Jo Ab Gaata Hai
Apne Baap Ka Kya Jaata Hai
Ab Bolo Bolte Kyon Nahin
Apne Baap Ka Kya Jaata Hai
Bolti Band Ho Gayi Kya
Apne Baap Ka Kya Jaata Hai

BACK TO MAIN PAGE