Phir chhidi raat baat phoolon ki,
Raat hai ya baarat phoolon ki.

Phool ke haar , phool ke gajre,
Shaam phoolon ki, raat phoolon ki.

Aap ka saath, saath phoolon ka,
Aap ki baat, baat phoolon ki.

Phool khilte rahenge duniya mein,
Roz nikalegi baat phoolon ki.

Yeh mehekti hui ghazal makh doo,
Jaise sehera mein raat phoolon ki.

From: Chetan Surti
To: alfaazh@hotmail.com
Date: Thu, 9 Jul 1998 19:46:25 +0530 (IST)
BACK TO MAIN PAGE