Film - Do Kaliyaan
Music - Ravi
Lyrics - Saahir Ludhanvi

Bacche Man Ke Sacche
Sari Jag Ke Aankh Ke Taare
Yeh Woh Nanhe Phool Hain Jo
Bhagwan Ko Lagte Pyaare

Khud Roothe Khud Man Jaye
Phir Humjoli Ban Jaye
Jhagdha Jiske Saath Karein
Agle Hi Pal Phir Baat Karein
Inko Kisi Se Bair Nahin
Inke Liye Koi Gair Nahin
Inka Bholapan Milta Hai
Sabko Baanh Pasare
Bacche Man Ke Sacche......

Insaan Jab Tak Baccha Hai
Tab Tak Samajh Ka Kaccha Hai
Jyun Jyun Uski Umar Badhe
Man Par Jhoot Ka Mael Chadhe
Krodh Badhe, Nafrat Ghere,
Lalach Ki Aadat Ghere
Bachpan In Paapon Se Hatkar
Apni Umar Guzare
Bacche Man Ke Sacche......

Tan Komal Man Sundar
Hain Bacche Badhon Se Behatar
Inmein Chhoot Aur Chhaat Nahin
Jhoothi Jaat Aur Paat Nahin
Bhasha Ki Takrar Nahin
Mazhab Ki Deewar Nahin
Inki Nazron Mein Ek Hain
Mandir Masjid Gurudware
Bacche Man Ke Sacche......


BACK TO MAIN PAGE