Film - aavishkaar
Singer - manna dey
Music - kanu roy
Lyrics - kapil kumar

hasane ki chaah ne itna mujhe rulaaya hai
koi hamdard nahin, dard mera saaya hai

dil to uljha hi raha zindagi ki baaton mein
saansen jalati hain kabhi kabhi raaton men
kisi ki aahaten ye kaun muskuraaya hai
koi hamdard nahin, dard mera saaya hai

sapne chalte hi rahe roz nai raahon se
koi phisalaa hai abhi abhi baahon se
kisi ki aah par taaron ko pyaar aaya hai
koi hamdard nahin, dard mera saaya hai

BACK TO MAIN PAGE