Film - Refugee
Lyrics - Javed Akhtar
Music - Anu Malik
Singers - Sukhwindar Singh & Shankar Mahadevan

Sab Ko Duniya Se Garaz
Mujhko Tujhse Kaam
Sab Duniya Duniya Ratein
Main Loon Tera Naam...

Teri Ek Jhalak Jo Payee Hai
Ek Masti Hai Jo Chhayee Hai
Mujhe Apna Koi Hosh Nahin
Pal Bhar Ko Dil Khamosh Nahin
Mere Dil Mein Goonjey Yehi Sadaa
Jise Tu Na Mila, Use Kuch Na Mila...

O, Duniya Mein Duniyadaron Ko
Jhoothi Daulat Ke Yaaron Ko
Daulat Bhi Mili, Taaqat Bhi Mili
Izzat Bhi Mili, Shaurat Bhi Mili
Jo Cheez Inho Ne Payee Hai
Paani Pe Likhi Likhayee Hai
Is Jhoothi Shaan Aur Shaukat Se
Mujhe Lena Kya Mujhe Matlab Kya
Mere Dil Mein Goonjey Yehi Sadaa
Jise Tu Na Mila, Use Kuch Na Mila...

Tu Mohabbat Ka Ek Samundar Hai
Tujhmein Dooboon, Tujhi Mein Ghul Jaaun
Ek Nazar Dekh Le Jo Tu Mujhko
Jism Se Rooh Tak Main Dhul Jaaun
Mujhe Dekh Zara, Pehchaan Zara
Main Tera Hoon, Main Hoon Tera
Mere Dil Mein Goonjey Yehi Sadaa
Jise Tu Na Mila, Use Kuch Na Mila...

Rang Mein Tu Hai, Roop Mein Tu Hai
Chhaon Mein Tu Hai, Dhoop Mein Tu Hai
Tu Hai Raaton Mein, Tu Saveron Mein
Tu Ujalon Mein, Tu Andheron Mein
Tu Hi Sardi Mein, Tu Hi Garmi Mein
Tu Hi Sakhti Mein, Tu Hi Narmi Mein
Tu Hai Paani Mein, Aag Mein Tu Hai
Tu Hai Geeton Mein, Raag Mein Tu Hai
O, Tu Suron Mein Hai, Taal Mein Tu Hai
Soch Mein Tu, Khayal Mein Tu Hai
Mausamon Mein Hai Tu, Ruton Mein Tu
Mandiron Mein Hai Tu, Bhuton Mein Tu
Mazjidon Mein Hai Tu, Azaan Mein Tu
Tu Hi Geeta Mein Hai, Quraan Mein Tu
Mandir Ne Kaha, Masjid Ne Kaha
Har Rasta Hai Tera Rasta
Ho, Nahin Koi Manzil Tere Siva
Nahi Koi Manzil Tere Sivaa
Mere Dil Mein Goonjey Yehi Sadaa
Jise Tu Na Mila, Use Kuch Na Mila...


BACK TO MAIN PAGE