Film - Teri Kasam

Kya Hua, Ek Baat Par
Barson Ka Yaarana Gaya
Is Bahane Doston Ka Pyar Pehchana Gaya

Kya Sunayen Hum Kisiko
Pyar Ki Yeh Daastan
Jaan Jaane Ko Hai Baki
Dil To Deewana Gaya
Kya Hua...

Unka Unke Gham Ka Aye Dil
Ab Karen Afsos Kya
Jinko Aana Tha Woh Aaya,
Jinko Tha Jaana, Gaya
Kya Hua...

Unse Milne Ki Ijaazat
Ek Bas Humko Nahin
Unse Milne Unke Ghar
Har Apna Begaana Gaya
Kya Hua...


BACK TO MAIN PAGE