Make your own free website on Tripod.com
Film - Lal Qila
Lyrics - Bahadurshah `Jafar'
Music - S N Tripathi
Singer - Mohd Rafi

Lagta Nahin Hai Dil Mera Ujde Dayaar Mein
Kiski Bani Hai Aalam-E-Napaydaar Mein

Keh Do In Hasratonse Kahin Aur Ja Base
Itni Jageh Kahan Hai Dil-E-Daagdar Mein

Umr-E-Faraaz Se Mangkar Laye The Chaar Din
Do Aarzoo Mein Cut Gaye Do Intezaar Mein

Kitna Hai Badnaseeb 'Jafar' Dafan Ke Liye
Do Gaz Zameen Bhi Na Mili Kuch-E-Yaar Mein


BACK TO MAIN PAGE