Film - Hum Saath Saath Hain
Lyrics - R. Kiran
Music - Ram Laxman
Singers - Kavita Krishnamurti, Alka Yagnik & Anuradha Paudwal

Maiyya Yashoda...
Yeh Tera Kanhaiya...
Maiyya Yashoda, Yeh Tera Kanhaiya,
Panghat Pe Meri, Pakde Hai Baiyan,
Tang Mujhe Karta Hai, Sang Mere Ladta Hai,
Ramji Ki Kripa Se, Main Bachi,
Ramji Ki Kripa Se, Main Bachi,
Ramji Ki Kripa Se...

Gokul Ki Galiyon Mein, Jamuna Kinaare,
Woh More Kankariya, Chhup Chhup Ke Maare,
Natkhat Adayen, Soorat Hai Bholi,
Holi Mein Meri Bhigaye Woh Choli,
Baiyan Na Chhode...
Kalaiyan Marode...
Baiyan Na Chhode, Kalaiyan Marode,
Paiyan Padun Phir Bhi, Peechha Na Chhode,
Meethi Meethi Baaton Mein, Mujhko Phansaye, Hai.
Ramji Ki Kripa Se, Main Bachi,
Ramji Ki Kripa Se, Main Bachi,
Ramji Ki Kripa Se...

Jab Jab Bajaye, Mohan Muraliya,
Chhan Chhan Chhanakti Hai, Meri Payaliya,
Nainon Se Jab Woh Kare Chhedkhani,
Dil Thaame Reh Jaye, Prem Deewani,
Sudh-Budh Gawai...
Neende Udayee...
Sudh-Budh Gawai, Neende Udayee,
Jo Karne Baithi Thi, Woh Kar Na Payee,
Badi Mushkil Se Dil Ko Sambhaala, Hai.
Ramji Ki Kripa Se, Main Bachi,
Ramji Ki Kripa Se, Main Bachi,
Ramji Ki Kripa Se...

Gokul Ka Kanha, Har Dil Mein Samaaya,
Main Bhagyashaali, Unhe Maine Paaya,
Maana Ke Sabke, Hain Yeh Kanhaiya,
Kehlayenge Par, Tumhare Hi Maiyya,
Pyara Piya Hai...
Tumne Diya Hai...
Pyara Piya Hai, Tumne Diya Hai,
Mamta Ke Aanchal Mein, Humko Liya Hai,
Charano Mein Teri O Maa Humko Rehna Hai,
Ramji Ki Kripa Se,
Haan Ji Haan,
Ramji Ki Kripa Se...

Contributed by Slava & Vinita Ananth

BACK TO MAIN PAGE