Picture : Ijaazat
Lyrics : Gulzar
Music : R. D. Burman
Singer : Asha Bhosle

Ek dafaa woh yaad hai tumko jab ,
Bina batti ke cycle ka challan hua tha ,
Humne kaise bhookhon bicharon si acting ki thi ,
Hawaldar ne oolta ek atthani de ke bhej diya tha ,
Ek chawanni meri thi , woh Bhijwa do ,
Aur bhi kuch samman hai , woh bhijwa do.

Mera kuch samaan , tumhare paas pada hai,
Sawan ke kuch bhige bhige din rakhe hai,
Aur mere is khat mein lipti raat padi hai,
Woh raat bujha do,
Mera woh samman lauta do.

Patjhad mein kuch patton ki ,
Girne ki aahat,
Kaanon mein ek baar pehen ke laut aayi thi ,
Patjhad ki woh shaakh abhi tak kaanp rahi hai,
woh shaakh hila do , mera woh samman lauta do.

Ek akeli chatri mein jab ,
aadhe aadhe bhig rahe the ..
Aadhe sookhe, aadhe gile , sookha to main le aayi thi ,
Gila man shaayad , bistar ke paas pada ho,
Woh bhijwa do , mera woh samman lauta do.

Ek sau solaah , chaand ki raatein ,
hain tumhare kaadhein kaatel ,
Gili mehendi ki khooshboo aur ,
jhhoth mooth ke shikwe kuch ,
jhooth mooth ke waade bhi sab yaad kara doo,
sab bhijwa do mera woh samaan lauta do,

Ek ijaazat de do bus ,
Jab isko dafnaoongi,
Main bhi wahin so jaaongi ,
Main bhi wahin so jaaongi.

From: Chetan Surti
To: alfaazh@hotmail.com
Date: Wed, 8 Jul 1998 19:02:37 +0530 (IST)
BACK TO MAIN PAGE