Film - Mere Mehboob
Lyrics - Shakeel Badayuni
Music - Naushad
Singer - Mohd. Rafi

Mere Mehboob Tujhe Meri Mohabbat Ki Kasam
Phir Mujhe Nargisi Aankhon Ka Sahaara De De
Mera Khoya Hua Rangeen Nazaara De De
Mere Mehboob Tujhe ...

Ae Mere Khwab Ki Taabeer Meri Jaan-E-Ghazal
Zindagi Meri Tujhe Yaad Kiye Jaati Hai
Raat Din Mujhko Sataata Hai Tasavvur Tera
Dil Ki Dhadkan Tujhe Aawaz Diye Jaati Hai
Aa Mujhe Apni Sadaaon Ka Sahaara De De
Mera Khoya Hua ...

Bhool Sakti Nahin Aankhen Woh Suhaana Manzar
Jab Tera Husn Mere Ishq Se Takraaya Tha
Aur Phir Raah Mein Bikhre The Hazaaron Nagmein
Maein Woh Nagmein Teri Aawaaz Ko De Aaya Tha
Saaz-E-Dil Ko Unhin Geeton Ka Sahaara De De
Mera Khoya Hua ...

Yaad Hai Mujhko Meri Umra Ki Pehli Woh Ghadi
Teri Aankhon Se Koi Jaam Piya Tha Maine
Mere Rug Rug Mein Koi Barq Si Leharai Thi
Jab Tere Marmari Haathon Ko Chhua Tha Maine
Aa Mujhe Phir Unhin Haathon Ka Sahaara De De
Mera Khoya Hua ...

Maine Ik Baar Teri Ek Jhalak Dekhi Hai
Meri Hasrat Hai Ke Maein Phir Tera Deedaar Karoon
Tere Saaye Ko Samajh Kar Maein Haseen Tajmahal
Chandni Raat Mein Nazron Se Tujhe Pyaar Karoon
Apni Mehki Hui Zulfon Ka Sahaara De De
Mera Khoya Hua ...

Dhoondhta Hoon Tujhe Har Raah Mein Har Mehfil Mein
Thak Gaye Hain Meri Majboor Tamanna Ke Kadam
Aaj Ka Din Meri Ummeed Ka Hai Aakhri Din
Kal Na Jaane Maein Kahaan Aur Kahaan Tu Ho Sanam
Do Ghadi Apni Nigaahon Ka Sahaara De De
Mera Khoya Hua ...

Saamne Aa Ke Zara Parda Utha De Rukh Se
Ik Yahi Mera Ilaaj-E-Gham-E-Tanhaai Hai
Teri Furqat Ne Pareshaan Kiya Hai Mujhko
Ab To Mil Ja Ke Meri Jaan Pe Ban Aayi Hai
Dil Ko Bhooli Hui Yaadon Ka Sahaara De De
Mera Khoya Hua ...

BACK TO MAIN PAGE