Film - Namak Halaal
Singer - Kishore Kumar
Music - Bappi Lahiri

Buzurgon Ne Farmaya Ki Pairon Pe Apne
Khade Hoke Dikhlaao
Phir Yeh Zamaana Tumhara Hai
Zamaane Ke Sur Taal Ke Saath Chalte Chale Jaao
Phir Har Tarana Tumhara Fasaana Tumhara Hai
Are To Lo Bhaiya Hum
Apne Pairon Ke Oopar Khade Ho Gaye
Aur Milali Hai Taal
Dabalega Daaton Tale Ungliyan-Liyan
Yeh Jahan Dekhkar-Kar Apni Chaal
Wah Wah
Dhanvad

Ki Pag Ghungroo Baandh Meera Naachi Thi
Aur Hum Naachen Bin Ghungroo Ke
Ki Pag Ghungroo...

Aap Andar Se Kuch Aur
Bahar Se Kuch Aur Nazar Aate Hain
Bakhuda Shakal Se To Chor Nazar Aate Hain
Umar Guzari Hai Saari Chori Mein
Saare Sukh Chain Band Jurm Ki Tijori Mein
Aap Ka To Lagta Hai Bas Yahi Sapna
Ram Naam Japna Paraya Maal Apna
Watan Ka Khaaya Namak To Namak Halaal Bano
Farz Imaan Ki Zinda Yahaan Misaal Bano
Paraya Dhan Parayi Naar Pe Nazar Mat Dalo
Buri Aadat Hai Yeh Aadat Abhi Badal Dalo
Kyonke Yeh Aadat To Woh Aag Hai Jo
Ik Din Apna Ghar Phunke Phunke Phunke Re
Ki Pag Ghungroo...

Mausam-E-Ishq Mein Machale Hue Armaan Hain Hum
Dil Ko Lagta Hai Ki Do Jism Ek Jaan Hai Hum
Aisa Lagta Hai To Lagne Mein Kuchh Buraayi Nahin
Dil Yeh Kehta Hai Aap Apni Hain Paraayi Nahin
Sange Marmar Ki Hai Koi Murat Ho Tum
Badhi Dilkash Badhi Khubsoorat Ho Tum
Dil Dil Se Milne Ka Koi Mahurat Ho Pyaase Dilon Ki Zarurat Ho Tum
Dil Cheer Ke Dikhladoon Maein Dil Mein Wahi Surat Haseen
Kya Aapko Lagta Nahin Hum Hain Mile Pehle Kahin
Kya Umra Hai Kya Naam Hai
Kya Desh Hai Kya Jaat Hai
Aji Chhodhiye In Baaton Se Humko Bhala Kya Kaam Hai
Aji Suniye To
Hum Aap Milen To Phir Ho Shuroo Afsaane Laila Majnu Laila Majnu Ke
Ki Pag Ghungroo...

BACK TO MAIN PAGE