Film - Prem Kahani
Music - Laxmikant Pyarelal
Lyrics - Anand Bakshi
Singer - Mukesh

Phool Ahista Phaenko
Phool Bade Naazuk Hote Hain
Waise Bhi To Yeh Badkismat
Nauk Pe Kaanto Ki Sote Hain
Phool Ahista...

Badi Khoobsurat Shikaayat Hai Yeh
Magar Sochiye Kya Sharaafat Hai Yeh
Jo Auron Ka Dil Todte Rehte Hain
Lagi Chot Unko To Yeh Kehte Hain
Ki Phool Ahista Phaenko
Phool Bade Naazuk Hote Hain
Jo Rulate Hain Logon Ko
Ek Din Khud Bhi Rote Hain
Phool Ahista...

Kisi Shokh Ko Baag Ki Sair Mein
Jo Lag Jaaye Kaanta Koi Pair Mein
Khafa Husnwalo Se Ho Kis Liye
Yeh Masoom Hai Bekhata Is liye
Ki Phool Ahista Phaenko
Phool Bade Naazuk Hote Hain
Yeh Karenge Kaise Ghayal
Yeh To Khud Ghayal Hote Hain
Phool Ahista...

Gulon Ke Bade Aap Hamdard Hain
Bhala Kyon Na Ho Aap Bhi Mard Hain
Hazaaron Savalon Ka Hai Ek Jawab
Fareb-E-Nazar Yeh Na Ho Aye Janab
Ki Phool Ahista Phaenko
Phool Bade Naazuk Hote Hain
Sab Jise Kehte Hain Shabnam
Phool Ke Aansoo Hote Hain
Phool Ahista...


BACK TO MAIN PAGE