Film - Phir Subah Hogi
Music - Khayyam
Lyrics - Sahir
Singer - Mukesh & Asha Bhosale

Woh Subah Kabhi To Aayegi
Woh Subah Kabhi To Aayegi

In Kaali Sadiyon Ke Sar Se
Jab Raat Ka Aanchal Dhalkega
Jab Dukh Ke Badal Pighalenge
Jab Sukh Ka Sagar Chhalkega
Jab Ambar Jhoom Ke Nachega
Jab Dharti Nagme Gaayegi
Woh Subah Kabhi...

Jis Subah Ki Khatir Yug Yug Se
Hum Mar Mar Kar Bhi Jeete Hain
Jis Subah Ke Amrit Ki Dhun Mein
Hum Zehar Ke Pyaale Peete Hain
In Bhooki Pyaasi Rahon Par
Ek Din To Karam Farmayegi
Woh Subah Kabhi...

Mana Ki Kabhi Kuchh Daer
In Armaanon Ki Keemat Kuchh Bhi Nahin
Mitti Ka Bhi Hai Kuchh Mol Magar
Insaanon Ki Keemat Kuchh Bhi Nahin
Insaanon Ki Izzat Jab Jhoote
Sikkon Mein Na Toli Jayegi
Woh Subah Kabhi...

Daulat Ke Liye Jab Aurat Ki
Asmat Bechi Na Jayegi
Chaahat Ko Na Kuchla Jayega
Gairat Na Bechi Jayegi
Apni Kaali Kartuton Par
Jab Yeh Duniya Sharmayegi
Woh Subah Kabhi...

Beetenge Kabhi To Din Aakhir
Yeh Bhook Ke Aur Bekaari Ke
Tootenge Kabhi To But Aakhir
Daulat Ki Ijaredaari Ke
Jab Ek Anokhi Duniya Ki
Buniyaad Uthayi Jayegi
Woh Subah Kabhi...

Majboor Budhapa Jab Sooni
Rahon Ki Dhool Na Phekega
Masoom Ladakpan Jab Gandi
Galiyon Mein Bheekh Na Maangega
Hum Mangne Walo Ko Jis Din
Sooli Na Dikhayi Jayegi
Woh Subah Kabhi...

Faankon Ki Chitaon Par Jis Din
Insaan Jalaye Jayenge
Seene Ke Dehakte Dozakh Mein
Armaan Jalaye Jayenge
Yahan Nark Se Gandi Duniya
Jab Swarg Banai Jayegi
Woh Subah Kabhi...

Jab Dharti Karvat Badlegi
Jab Qaid Se Qaidi Chhootenge
Jab Paap Ke Gharonde Phootenge
Jab Zulm Ke Badal Chhootenge
Us Subah Ko Hum Hi Layenge
Woh Subah Hum Hi Se Aayegi

Manhoos Samaj Ke Dhache Mein
Jab Zulm Na Paale Jayenge
Jab Haath Na Kaate Jayenge
Jab Sar Na Uchhale Jaayenge
Maelon Ke Bina Jab Duniya Ki
Sarkar Chalayi Jayegi
Woh Subah Hum Hi Se Aayegi

Sansar Ke Saare Mehnat Kash
Kheton Se Millon Se Niklenge
Beghar Beghar Insaan Sabhi
Tareeq Dilon Se Niklenge
Duniya Aur Khushali Ke
Phoolon Se Sajayi Jayegi
Woh Subah Hum Hi Se Aayegi


BACK TO MAIN PAGE