Dil Aaj Shaayar Hai
Gham Aaj Nagma Hai
Shab-ye Ghazal Hai Sanam
Gairon Ke Sheron Ko Oh Sun-newale
Hon Is Taraf Bhi Karam

Aake Zara Dekh To Teri Khaatir
Hum Kis Tarah Se Jiye
Aason Ke Dhaage Se Seete Rahe Hum
Jo Zakhm Toone Diye
Chahat Ki Mehfil Mein Gham Tera Lekar
Kismat Se Khela Jua
Duniya Se Jeete Par Tujhse Haare
Yoon Khel Apna Hua

Hai Pyaar Hamne Kiya Jis Tarah Se
Uska Na Koi Jawab
Zarra Thhe Lekin Teri Lau Mein Jalkar
Hum Ban Gaye Aaftaab
Hamse Hai Zinda Wafa Aur Hami Se
Hai Teri Mehfil Jawaan
Hum Jab Na Honge To Ro Ro Ke Duniya
Dhoonde Gi Mere Nishaan

Yeh Pyaar Koi Khilona Nahin Hai
Har Koi Le Jo Khareed
Meri Tarah Zindagi Bhar Tadaplo
Phir Aana Iske Kareeb
Hum To Musafir Hain Koi Safar Ho
Hum To Guzar Jayenge Hi
Lekin Lagaya Hai Jo Daav Hamne
Woh Jeetkar Aayenge Hi
Woh Jeetkar Aayenge Hi
Back To Main Page