Film - Kabhi Kabhi
Lyrics - Sahir Ludhianvi
Singer - Amitabh Bachchan
Kabhi Kabhi Mere Dil Mein Khayal Aata Hai
Ki Zindagi Teri Zulfon Ki Narm Chhaon Mein
Guzarne Paati To Shayad Aaj Ho Bhi Sakti Thi
Yeh Ranj-O-Gham Ki Siyaahi
Teri Nazar Ki Shuaon Mein Kho Bhi Sakti Thi
Ajab Na Tha Ki Maein Begana-E-Aalam Rehkar
Tere Jamaal Ki Ranaiyon Mein Kho Rehta
Tera Gudaz Badan, Teri Neem Baaz Ankhein
Inhi Haseen Zulfon Ke Saaye Ke Mahav Ho Rehta
Pukarti Mujhe Jab Talkhiyan Zamane Ki
Tere Labon Se Halaavat Ke Ghut Pee Leta
Hayaat Chikti Phirti Barhanaa-Sar Aur Maein
Ghaneri Zulfon Ke Saaye Mein Chhupke Ji Leta
Magar Yeh Ho Na Sakaa Aur Ab Yeh Aalam Hai
Ki Tu Nahin, Tera Gham, Teri Justju Bhi Nahin
Guzar Rahi Hai Kuchh Is Tarah Zindagi Jaise
Ise Kisike Sahare Ki Aarzoo Bhi Nahin
Zamaane Bhar Ke Dukhon Ko Laga Chuka Hoon Gale
Guzar Rahaa Hoon Kuchh Anjaani Guzargahonse
Muhib Saaye Mere Simt Badhte Aate Hai
Hayate-O-Maut Ke Pur Haul Kharjaaron Se
Na Koi Raah, Na Manzil, Na Roshni Ka Suraag
Bhatak Rahi Hai Andheron Mein Zindagi Meri
Inhi Andheron Mein Reh Jaunga Kabhi Kho Kar
Maein Jaanta Hoon Meri Ham-Nafas, Magar Yunhi
Kabhi Kabhie Mere Dil Mein Khayal Aata Hai
Back To Main Page